bundon bundon baDha samandar
būñdoñ būñdoñ baḌhā samandar
gardan tak aa gayā samandar
saat safar puure karne haiñ
yārab koī nayā samandar
chashma aur dastāne laanā
chiknī machhlī harā samandar
man-maujī gahre paanī meñ
mā’mūlī sī adā samandar
dil dariyā pāyāb bahut hai
āñkheñ hoñ to banā samandar
ham ko sāhil par lā pheñkā
ye tū ne kyā kiyā samandar
maqta' kah kar soch 'muzaffar'
kitnā baaqī bachā samandar
bundon bundon baDha samandar
gardan tak aa gaya samandar
sat safar pure karne hain
yarab koi naya samandar
chashma aur dastane lana
chikni machhli hara samandar
man-mauji gahre pani mein
ma’muli si ada samandar
dil dariya payab bahut hai
aankhen hon to bana samandar
hum ko sahil par la phenka
ye tu ne kya kiya samandar
maqta' kah kar soch 'muzaffar'
kitna baqi bacha samandar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.