buz-dili to wo kar nahin sakta
buz-dilī to vo kar nahīñ saktā
jo hai sachchā vo Dar nahīñ saktā
jism duniyā bhale hī dafnā de
pyaar zinda hai mar nahīñ saktā
bhuuk meñ sirf chāhiye roTī
peT bātoñ se bhar nahīñ saktā
jhuuT chāhe buland ho kitnā
sach ke aage Thahar nahīñ saktā
aap dekheñ to us kā husn baḌhe
aa.ina ḳhud sañvar nahīñ saktā
jo bhī sāhil kā hai tamāshā.ī
paar dariyā vo kar nahīñ saktā
buz-dili to wo kar nahin sakta
jo hai sachcha wo Dar nahin sakta
jism duniya bhale hi dafna de
pyar zinda hai mar nahin sakta
bhuk mein sirf chahiye roTi
peT baaton se bhar nahin sakta
jhuT chahe buland ho kitna
sach ke aage Thahar nahin sakta
aap dekhen to us ka husn baDhe
aaina KHud sanwar nahin sakta
jo bhi sahil ka hai tamashai
par dariya wo kar nahin sakta
- Book : Kirdaar (Pg. 57)
- Author : Mohammed Ali Sahil
- Publication : Voice Publication (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.