buzdil ya mazlum jahan mein kahlane se kya hoga
buzdil ya mazlum jahan mein kahlane se kya hoga
Maqsood Anwar Maqsood
MORE BYMaqsood Anwar Maqsood
buzdil yā mazlūm jahāñ meñ kahlāne se kyā hogā
TuuTī hī shamshīr nikālo Dar jaane se kyā hogā
kab tak ye taqdīr kā ronā aao kuchh tadbīr kareñ
aañkh meñ aañsū chāk-e-garebāñ darshāne se kyā hogā
bhūke kī tum bhuuk miTāo to phir koī baat bane
shīsh-mahal ke ḳhvāb sunahre dikhlāne se kyā hogā
dhartī par sukh chain kī ḳhātir man ke mail ko saaf karo
gañgā jal meñ jism ko apne nahlāne se kyā hogā
ilm-o-hunar ko kaam meñ laao mustaqbil kī fikr karo
haal meñ maazī kī bhūloñ par pachhtāne se kyā hogā
maar ke Thokar rusvā.ī ko haq apnā le lo 'maqsūd'
bech ke ġhairat jām-e-muravvat chhalkāne se kyā hogā
buzdil ya mazlum jahan mein kahlane se kya hoga
TuTi hi shamshir nikalo Dar jaane se kya hoga
kab tak ye taqdir ka rona aao kuchh tadbir karen
aankh mein aansu chaak-e-gareban darshane se kya hoga
bhuke ki tum bhuk miTao to phir koi baat bane
shish-mahal ke KHwab sunahre dikhlane se kya hoga
dharti par sukh chain ki KHatir man ke mail ko saf karo
ganga jal mein jism ko apne nahlane se kya hoga
ilm-o-hunar ko kaam mein lao mustaqbil ki fikr karo
haal mein mazi ki bhulon par pachhtane se kya hoga
mar ke Thokar ruswai ko haq apna le lo 'maqsud'
bech ke ghairat jam-e-murawwat chhalkane se kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.