buzdili si kahan ye marti hain
buzdilī sī kahāñ ye martī haiñ
mushkileñ hausloñ se Dartī haiñ
ashk aate haiñ jab nadāmat ke
merī āñkheñ bahut nikhartī haiñ
kaaT do haath in havāoñ ke
jo charāġhoñ kā qatl kartī haiñ
karnī paḌtī haiñ pahle tadbīreñ
phir kahīñ qismateñ sañvartī haiñ
ḳhvāhisheñ muflisoñ ke siine meñ
roz jiitī haiñ roz martī haiñ
sabr kī had meñ rahnā paḌtā hai
āyateñ yuuñ kahāñ utartī haiñ
Dhaltī umroñ kī laḌkiyāñ 'shākir'
aa.ina dekhne se Dartī haiñ
buzdili si kahan ye marti hain
mushkilen hauslon se Darti hain
ashk aate hain jab nadamat ke
meri aankhen bahut nikharti hain
kaT do hath in hawaon ke
jo charaghon ka qatl karti hain
karni paDti hain pahle tadbiren
phir kahin qismaten sanwarti hain
KHwahishen muflison ke sine mein
roz jiti hain roz marti hain
sabr ki had mein rahna paDta hai
aayaten yun kahan utarti hain
Dhalti umron ki laDkiyan 'shakir'
aaina dekhne se Darti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.