buzurgo, naseho, farman-rawao
buzurgo, nāseho, farmāñ-ravāo
hameñ to mai-kade tak chhoḌ aao
amīrāna bhī is kūche meñ aao
lab-o-ruḳhsār-o-mizhgāñ ke gadāo
ubhartī jā rahī hai sham.a kī lau
baḌī nādān ho ThanDī havāo
hazāroñ raaz uryāñ ho rahe haiñ
girāo aañkh par chilman girāo
vo mujh se aur maiñ un se ḳhafā huuñ
nadīmo aa ke donoñ ko manāo
na jaane ham kahāñ gum ho chuke haiñ
jo mumkin ho to ham ko DhūñD laao
buzurgo, naseho, farman-rawao
hamein to mai-kade tak chhoD aao
amirana bhi is kuche mein aao
lab-o-ruKHsar-o-mizhgan ke gadao
ubharti ja rahi hai shama ki lau
baDi nadan ho ThanDi hawao
hazaron raaz uryan ho rahe hain
girao aankh par chilman girao
wo mujh se aur main un se KHafa hun
nadimo aa ke donon ko manao
na jaane hum kahan gum ho chuke hain
jo mumkin ho to hum ko DhunD lao
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(shahr-e-aazar) (Pg. 152)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.