buzurgon ki nasihat yaad rakhna
buzurgoñ kī nasīhat yaad rakhnā
ġhamoñ meñ ghir ke bhī dil shaad rakhnā
mirā dil hai hazāroñ ġham kā maskan
ḳhudā is ghar ko tū ābād rakhnā
jahāñ patthar kā hotā jā rahā hai
hai jiinā to jigar faulād rakhnā
mirī taḳhlīq-e-avval naqd-e-sānī
ye nukta rū-ba-rū naqqād rakhnā
agarche ye zamāna tang-dil hai
hamesha zehn-o-dil āzād rakhnā
ye duniyā ehtajājī ho ga.ī hai
na apne lab pe tum fariyād rakhnā
'zamīr' apnī badaulat chal rahā hai
mubārak aap ko ustād rakhnā
buzurgon ki nasihat yaad rakhna
ghamon mein ghir ke bhi dil shad rakhna
mera dil hai hazaron gham ka maskan
KHuda is ghar ko tu aabaad rakhna
jahan patthar ka hota ja raha hai
hai jina to jigar faulad rakhna
meri taKHliq-e-awwal naqd-e-sani
ye nukta ru-ba-ru naqqad rakhna
agarche ye zamana tang-dil hai
hamesha zehn-o-dil aazad rakhna
ye duniya ehtajaji ho gai hai
na apne lab pe tum fariyaad rakhna
'zamir' apni badaulat chal raha hai
mubarak aap ko ustad rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.