buzurgon ko nai naslon ne hairani mein rakkha hai
buzurgoñ ko na.ī nasloñ ne hairānī meñ rakkhā hai
namak mahfūz rakhne ke liye paanī meñ rakkhā hai
bas itnī baat hai ḳhud kī pareshānī miTāne ko
amīr-e-shahr ne sab ko pareshānī meñ rakkhā hai
ye mustaqbil meñ kaam aa.egā is ko ġhaur se dekho
jo manzar merī in āñkhoñ kī vīrānī meñ rakkhā hai
kahāñ vo baat phūloñ aur falak ke chāñd tāroñ meñ
ḳhudā ne husn jaisā husn-e-insānī meñ rakkhā hai
ḳhulūs aḳhlāq hai kachche makānoñ ke makīnoñ meñ
hasad buġhz-o-adāvat qasr-e-sultānī meñ rakkhā hai
rafū-gar bhī pareshāñ ho ke āḳhir pūchh hī baiThā
batāo kaisā nasha chāk-dāmānī meñ rakkhā hai
ye us kī maslahat hai vo hameñ yuuñ āzmātā hai
kabhī tangī kabhī us ne farāvānī meñ rakkhā hai
hamāre daur ke bachche bahut chālāk haiñ 'sāġhar'
piyāla duudh kā billī kī nigarānī meñ rakkhā hai
buzurgon ko nai naslon ne hairani mein rakkha hai
namak mahfuz rakhne ke liye pani mein rakkha hai
bas itni baat hai KHud ki pareshani miTane ko
amir-e-shahr ne sab ko pareshani mein rakkha hai
ye mustaqbil mein kaam aaega is ko ghaur se dekho
jo manzar meri in aankhon ki virani mein rakkha hai
kahan wo baat phulon aur falak ke chand taron mein
KHuda ne husn jaisa husn-e-insani mein rakkha hai
KHulus aKHlaq hai kachche makanon ke makinon mein
hasad bughz-o-adawat qasr-e-sultani mein rakkha hai
rafu-gar bhi pareshan ho ke aaKHir puchh hi baiTha
batao kaisa nasha chaak-damani mein rakkha hai
ye us ki maslahat hai wo hamein yun aazmata hai
kabhi tangi kabhi us ne farawani mein rakkha hai
hamare daur ke bachche bahut chaalak hain 'saghar'
piyala dudh ka billi ki nigarani mein rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.