byakul man ke sune ban mein aas ka panchhi utra hai
byakul man ke sune ban mein aas ka panchhi utra hai
Syed Ashoor Kazmi
MORE BYSyed Ashoor Kazmi
byākul man ke suune ban meñ aas kā panchhī utrā hai
tere des kī purvā.ī se apnā bhī koī naatā hai
sukh kī nayyā haath aa.e to jīvan aashā paar lage
man hī shānt na ho to jīvan dukh-sāgar kā dhārā hai
dhartī ghūme chandā ghūme sūraj agnī phere le
biite kal se aane vaalā kal kā bandhan sachchā hai
jin logoñ ne sach kī ḳhātir apnā jīvan-dān kiyā
pūrab pachchhim uttar dakhkhin aaj bhī un kā charchā hai
kahne ko ik bhiiḌ lagī hai is sansār ke mele meñ
jis ke bhītar jhāñk ke dekho ek niranjan sho.ala hai
saarā khel to us kā hai añdhiyāre kitne gahre haiñ
samay samay to jagmag kartā jugnū chāñd se pyārā hai
pal meñ manush hai raam pujārī pal meñ chelā rāvan kā
paap aur pun ke biich kā dhāgā dekho kitnā kachchā hai
ik dhanvān kī car ke nīche ye kis kā dehāñt huā
ek bhikārī kā bachcha thā chhoḌo kis ko chintā hai
tū ne to 'āshūr' lahū ke diip jalā.e galī galī
phir bhī tere man-mandir meñ kyoñ itnā añdhiyārā hai
byakul man ke sune ban mein aas ka panchhi utra hai
tere des ki purwai se apna bhi koi nata hai
sukh ki nayya hath aae to jiwan aasha par lage
man hi shant na ho to jiwan dukh-sagar ka dhaara hai
dharti ghume chanda ghume suraj agni phere le
bite kal se aane wala kal ka bandhan sachcha hai
jin logon ne sach ki KHatir apna jiwan-dan kiya
purab pachchhim uttar dakhkhin aaj bhi un ka charcha hai
kahne ko ek bhiD lagi hai is sansar ke mele mein
jis ke bhitar jhank ke dekho ek niranjan shoala hai
sara khel to us ka hai andhiyare kitne gahre hain
samay samay to jagmag karta jugnu chand se pyara hai
pal mein manush hai ram pujari pal mein chela rawan ka
pap aur pun ke bich ka dhaga dekho kitna kachcha hai
ek dhanwan ki car ke niche ye kis ka dehant hua
ek bhikari ka bachcha tha chhoDo kis ko chinta hai
tu ne to 'ashur' lahu ke dip jalae gali gali
phir bhi tere man-mandir mein kyon itna andhiyara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.