canwas par udasi phaili hai
canvas par udāsī phailī hai
aaj tasvīr merī bannī hai
kaun zanjīroñ meñ bañdhā rahtā
toḌ dī ham ne ab rihā.ī hai
aarzū terī aur karte ham
zindagī ne kahā duhā.ī hai
bas guzartī hī jā rahī hai ye
zindagī merī zindagī sī hai
jis ne dī hai hameñ ye daulat vo
pūchhte haiñ udāsī kaisī hai
kaun tanhā yahāñ to koī nahīñ
saath har dam mire udāsī hai
canwas par udasi phaili hai
aaj taswir meri banni hai
kaun zanjiron mein bandha rahta
toD di hum ne ab rihai hai
aarzu teri aur karte hum
zindagi ne kaha duhai hai
bas guzarti hi ja rahi hai ye
zindagi meri zindagi si hai
jis ne di hai hamein ye daulat wo
puchhte hain udasi kaisi hai
kaun tanha yahan to koi nahin
sath har dam mere udasi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.