chadar ko khinchte hain jagate hain raat mein
chādar ko khīñchte haiñ jagāte haiñ raat meñ
be-chehra log mujh ko Darāte haiñ raat meñ
din-bhar ḳhamosh rahte haiñ jo tā.erān-e-dard
kamre meñ aa ke shor machāte haiñ raat meñ
darvāza band kar ke bhī sonā muhāl hai
kis raah se na jaane dar aate haiñ raat meñ
mujh se vo din meñ milte haiñ be-e'tinā.ī se
ḳhvāboñ meñ aa ke mujh ko jagāte haiñ raat meñ
chadar ko khinchte hain jagate hain raat mein
be-chehra log mujh ko Daraate hain raat mein
din-bhar KHamosh rahte hain jo taeran-e-dard
kamre mein aa ke shor machate hain raat mein
darwaza band kar ke bhi sona muhaal hai
kis rah se na jaane dar aate hain raat mein
mujh se wo din mein milte hain be-e'tinai se
KHwabon mein aa ke mujh ko jagate hain raat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.