chah kar bhi tujhe hum tere shanasa na hue
chaah kar bhī tujhe ham tere shanāsā na hue
jurm ye hai ki tire shahr meñ paidā na hue
yuuñ bhī gardan-zadanī the ki bahut bolte the
us pe ye bhī ki tire vāste rusvā na hue
tishna rakhnā kabhī bastī ko bahā le jaanā
yā'nī bas qahr-e-ḳhudā ho ga.e dariyā na hue
phuul se rang hue rang se ḳhushbū meñ Dhale
ruup badle haiñ bahut phir bhī tamāshā na hue
aise dīvānoñ ke qadmoñ ko zamīñ chūmtī hai
bastiyoñ meñ jo rahe sadqa-e-sahrā na hue
kūche kūche meñ jo phaile rahe ḳhushbū kī tarah
tere 'bāqar' se to vo raaz bhī ifshā na hue
chah kar bhi tujhe hum tere shanasa na hue
jurm ye hai ki tere shahr mein paida na hue
yun bhi gardan-zadani the ki bahut bolte the
us pe ye bhi ki tere waste ruswa na hue
tishna rakhna kabhi basti ko baha le jaana
ya'ni bas qahr-e-KHuda ho gae dariya na hue
phul se rang hue rang se KHushbu mein Dhale
rup badle hain bahut phir bhi tamasha na hue
aise diwanon ke qadmon ko zamin chumti hai
bastiyon mein jo rahe sadqa-e-sahra na hue
kuche kuche mein jo phaile rahe KHushbu ki tarah
tere 'baqar' se to wo raaz bhi ifsha na hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.