chah ki tum se iltija ki hai
chah ki tum se iltija ki hai
Mansha ur Rahman Khan Mansha
MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha
chaah kī tum se iltijā kī hai
ham ne kitnī hasīñ ḳhatā kī hai
zulm jin dostoñ ne Dhaa.e haiñ
dil ne un ke liye duā kī hai
zulf-e-hastī sañvārne ke liye
ham ne koshish to bārhā kī hai
Dūbte haiñ safīne sāhil par
sab ināyat ye nā-ḳhudā kī hai
is pe bandoñ kī hākimī kaisī
jab ye saarī zamīñ ḳhudā kī hai
jaan par apnī khel kar 'manshā'
karne vāloñ ne yaañ vafā kī hai
chah ki tum se iltija ki hai
hum ne kitni hasin KHata ki hai
zulm jin doston ne Dhae hain
dil ne un ke liye dua ki hai
zulf-e-hasti sanwarne ke liye
hum ne koshish to barha ki hai
Dubte hain safine sahil par
sab inayat ye na-KHuda ki hai
is pe bandon ki hakimi kaisi
jab ye sari zamin KHuda ki hai
jaan par apni khel kar 'mansha'
karne walon ne yan wafa ki hai
- Nawa-e-Dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.