chaha bahut ki ishq ki phir ibtida na ho
chāhā bahut ki ishq kī phir ibtidā na ho
rusvā.iyoñ kī apnī kahīñ intihā na ho
josh-e-vafā kā naam junūñ rakh diyā gayā
ai dard aaj zabt-e-fuġhāñ se sivā na ho
ye ġham nahīñ ki terā karam ham pe kyuuñ nahīñ
ye to sitam hai terā kahīñ sāmnā na ho
kahte haiñ ek shaḳhs kī ḳhātir jiye to kyā
achchhā yūñhī sahī to koī aasrā na ho
ye ishq hadd-e-ġham se guzar kar bhī raaz hai
is kashmakash meñ ham sā koī mubtilā na ho
is shahr meñ hai kaun hamārā tire sivā
ye kyā ki tū bhī apnā kabhī ham-navā na ho
chaha bahut ki ishq ki phir ibtida na ho
ruswaiyon ki apni kahin intiha na ho
josh-e-wafa ka nam junun rakh diya gaya
ai dard aaj zabt-e-fughan se siwa na ho
ye gham nahin ki tera karam hum pe kyun nahin
ye to sitam hai tera kahin samna na ho
kahte hain ek shaKHs ki KHatir jiye to kya
achchha yunhi sahi to koi aasra na ho
ye ishq hadd-e-gham se guzar kar bhi raaz hai
is kashmakash mein hum sa koi mubtila na ho
is shahr mein hai kaun hamara tere siwa
ye kya ki tu bhi apna kabhi ham-nawa na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.