chaha bahut magar kisi unwan na kar sake
Interesting Fact
(19 July 1954)
chāhā bahut magar kisī unvāñ na kar sake
īmāñ ko kufr kufr ko īmāñ na kar sake
afsos koī kār-e-numāyāñ na kar sake
qatre ko mauj mauj ko tūfāñ na kar sake
mumkin nahīñ ki himmat-e-mardāñ na kar sake
vo kaam kaun sā hai jo insāñ na kar sake
nāmūs-e-āshiqī kā junūñ meñ bhī thā lihāz
ham chaak fasl-e-gul meñ garebāñ na kar sake
tum ko kaheñ jo rashk-e-masīhā to kis tarah
tum bhī to mere dard kā darmāñ na kar sake
ḳhuddāriyoñ ke saath rahā ehtirām-e-husn
ham āshiqī ko jazba-e-arzāñ na kar sake
kam-asl chhup sakā na sharāfat ke bhes meñ
zarre ko āftāb-e-daraḳhshāñ na kar sake
dil par asar paḌe na kisī inqalāb kā
vo kījiye jo gardish-e-daurāñ na kar sake
karte haiñ log zikr-e-musāvāt kis liye
jab do tabī.atoñ ko bhī yaksāñ na kar sake
rakkhe vo bul-havas na qadam rāh-e-ishq meñ
jo ḳhud ko tere naam pe qurbāñ na kar sake
andesha-e-ma.āl thā goyā vabāl-e-jān
'tālib' ba-qadr-e-hausla armāñ na kar sake
chaha bahut magar kisi unwan na kar sake
iman ko kufr kufr ko iman na kar sake
afsos koi kar-e-numayan na kar sake
qatre ko mauj mauj ko tufan na kar sake
mumkin nahin ki himmat-e-mardan na kar sake
wo kaam kaun sa hai jo insan na kar sake
namus-e-ashiqi ka junun mein bhi tha lihaz
hum chaak fasl-e-gul mein gareban na kar sake
tum ko kahen jo rashk-e-masiha to kis tarah
tum bhi to mere dard ka darman na kar sake
KHuddariyon ke sath raha ehtiram-e-husn
hum aashiqi ko jazba-e-arzan na kar sake
kam-asl chhup saka na sharafat ke bhes mein
zarre ko aaftab-e-daraKHshan na kar sake
dil par asar paDe na kisi inqalab ka
wo kijiye jo gardish-e-dauran na kar sake
karte hain log zikr-e-musawat kis liye
jab do tabiaton ko bhi yaksan na kar sake
rakkhe wo bul-hawas na qadam rah-e-ishq mein
jo KHud ko tere nam pe qurban na kar sake
andesha-e-maal tha goya wabaal-e-jaan
'talib' ba-qadr-e-hausla arman na kar sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.