chaha hai ajab Dhang se chahat bhi ajab hai
chāhā hai ajab Dhang se chāhat bhī ajab hai
mahbūb ajab hai ye mohabbat bhī ajab hai
pallū mirā thāmā hai ka.ī baar ḳhirad ne
par in dinoñ jazboñ kī baġhāvat bhī ajab hai
jakḌā hai tirī yaad ne afkār ko mere
hamdam tire jazbāt meñ shiddat bhī ajab hai
qurbat ke hasīñ phuul mirī ruuh pe vaare
kyā ḳhuub saḳhī hai ye saḳhāvat bhī ajab hai
ik āriz-e-gul par jamā shabnam sā vo qatra
kirnoñ se zarā qabl rifāqat bhī ajab hai
lahja tirā dahkā huā lagtā hai ġhazab kā
ġhusse-bhare lahje meñ harārat bhī ajab hai
chehra tirā taptā huā dikhtā hai tapish se
mastī-bhare nainoñ meñ sharārat bhī ajab hai
baazī kabhī haarī nahīñ zālim ne anā kī
chāleñ bhī ajab us kī siyāsat bhī ajab hai
ḳhud qaid-e-vafā kaaT ke dī us ko rihā.ī
'bāno' ye tire dil kī adālat bhī ajab hai
chaha hai ajab Dhang se chahat bhi ajab hai
mahbub ajab hai ye mohabbat bhi ajab hai
pallu mera thama hai kai bar KHirad ne
par in dinon jazbon ki baghawat bhi ajab hai
jakDa hai teri yaad ne afkar ko mere
hamdam tere jazbaat mein shiddat bhi ajab hai
qurbat ke hasin phul meri ruh pe ware
kya KHub saKHi hai ye saKHawat bhi ajab hai
ek aariz-e-gul par jama shabnam sa wo qatra
kirnon se zara qabl rifaqat bhi ajab hai
lahja tera dahka hua lagta hai ghazab ka
ghusse-bhare lahje mein hararat bhi ajab hai
chehra tera tapta hua dikhta hai tapish se
masti-bhare nainon mein shararat bhi ajab hai
bazi kabhi haari nahin zalim ne ana ki
chaalen bhi ajab us ki siyasat bhi ajab hai
KHud qaid-e-wafa kaT ke di us ko rihai
'bano' ye tere dil ki adalat bhi ajab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.