chahat agar hai aap ki ho jaan-nisar dost
chāhat agar hai aap kī ho jāñ-nisār dost
honā paḌegā aap ko bhī ġham-gusār dost
tū bhī fareb-o-makr kā hogā shikār dost
varna riyā kā jism se cholā utaar dost
milte haiñ is jahān meñ yuuñ to hazār dost
hotā nahīñ hai sab pe magar e'tibār dost
makr-o-fareb kizb-o-riyā kā ye daur hai
kaise kisī pe koī kare e'tibār dost
chāhe Dubo de ziist kī kashtī yā paar kar
ham ne to de diyā hai tujhe iḳhtiyār dost
is daur-e-pur-fareb meñ 'dānish' muhāl hai
kar lenā e'tibār ke qābil shumār dost
chahat agar hai aap ki ho jaan-nisar dost
hona paDega aap ko bhi gham-gusar dost
tu bhi fareb-o-makr ka hoga shikar dost
warna riya ka jism se chola utar dost
milte hain is jahan mein yun to hazar dost
hota nahin hai sab pe magar e'tibar dost
makr-o-fareb kizb-o-riya ka ye daur hai
kaise kisi pe koi kare e'tibar dost
chahe Dubo de zist ki kashti ya par kar
hum ne to de diya hai tujhe iKHtiyar dost
is daur-e-pur-fareb mein 'danish' muhaal hai
kar lena e'tibar ke qabil shumar dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.