chahat kahan kahan hai adawat kahan kahan
chāhat kahāñ kahāñ hai 'adāvat kahāñ kahāñ
maiñ jāntā huuñ mujh ko hai rāhat kahāñ kahāñ
karnī hai kis kī ziist meñ qīmat kahāñ kahāñ
pahchān kis kī kab hai zarūrat kahāñ kahāñ
kuchh apne dam bhī mushkiloñ kā hal nikāliye
māñgeñge rab se aap muravvat kahāñ kahāñ
sach jhuuT apnā jāntā hai ḳhud hī aadmī
chhoḌī hai us ne apnī sharāfat kahāñ kahāñ
dekhā jo tū ne pyaar kī nazroñ se ai sanam
mat pūchh huī jism meñ harakat kahāñ kahāñ
duniyā bharī huī hai hasīnoñ se dosto
dil kī kareñge aap hifāzat kahāñ kahāñ
kar lījiye qubūl vafā.eñ mirī sanam
DhūñDheñge aur jag meñ mohabbat kahāñ kahāñ
man-māniyoñ kī Thaan leñ jo hukmarān to
karte phireñge log baġhāvat kahāñ kahāñ
har vaqt āñkheñ muuñd ke chaltā hai jo bashar
'hīrā' karoge us ko nasīhat kahāñ kahāñ
chahat kahan kahan hai 'adawat kahan kahan
main jaanta hun mujh ko hai rahat kahan kahan
karni hai kis ki zist mein qimat kahan kahan
pahchan kis ki kab hai zarurat kahan kahan
kuchh apne dam bhi mushkilon ka hal nikaliye
mangenge rab se aap murawwat kahan kahan
sach jhuT apna jaanta hai KHud hi aadmi
chhoDi hai us ne apni sharafat kahan kahan
dekha jo tu ne pyar ki nazron se ai sanam
mat puchh hui jism mein harakat kahan kahan
duniya bhari hui hai hasinon se dosto
dil ki karenge aap hifazat kahan kahan
kar lijiye qubul wafaen meri sanam
DhunDhenge aur jag mein mohabbat kahan kahan
man-maniyon ki Than len jo hukmaran to
karte phirenge log baghawat kahan kahan
har waqt aankhen mund ke chalta hai jo bashar
'hira' karoge us ko nasihat kahan kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.