chahaten rahaten azab nae
chāhateñ rāhateñ azaab na.e
roz sahrā nayā sarāb na.e
mutma.in raushnī huī shab-bhar
raat ġham ke khule the baab na.e
le uḌā kaun in kī rangat ko
zard-rū haiñ sabhī gulāb na.e
ḳhvāb kī jhiil sūkhne ko hai
ab na chamkeñge āftāb na.e
ab hai gor-o-kafan kī tayyārī
ab to miTTī meñ hoñge ḳhvāb na.e
dil ke dariyā meñ shor hai 'mīrā'
uTh rahe haiñ yahāñ habāb na.e
chahaten rahaten azab nae
roz sahra naya sarab nae
mutmain raushni hui shab-bhar
raat gham ke khule the bab nae
le uDa kaun in ki rangat ko
zard-ru hain sabhi gulab nae
KHwab ki jhil sukhne ko hai
ab na chamkenge aaftab nae
ab hai gor-o-kafan ki tayyari
ab to miTTi mein honge KHwab nae
dil ke dariya mein shor hai 'mira'
uTh rahe hain yahan habab nae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.