chahaton ka jo shajar hai dosto
chāhatoñ kā jo shajar hai dosto
aaj be-barg-o-samar hai dosto
uḌ rahī hai jo sitāroñ se pare
apnī hī gard-e-safar hai dosto
dāman-e-zarrīñ amīr-e-shahr kā
ḳhuun meñ apne hī tar hai dosto
ashk-e-ġham pī pī ke apne shahr meñ
muskurānā bhī hunar hai dosto
manzil-e-ḳhurshīd se aage chalo
mausam-e-parvāz-o-par hai dosto
kār-hā-e-zindagī haiñ mo'atabar
zindagī nā mo'atabar hai dosto
chahaton ka jo shajar hai dosto
aaj be-barg-o-samar hai dosto
uD rahi hai jo sitaron se pare
apni hi gard-e-safar hai dosto
daman-e-zarrin amir-e-shahr ka
KHun mein apne hi tar hai dosto
ashk-e-gham pi pi ke apne shahr mein
muskurana bhi hunar hai dosto
manzil-e-KHurshid se aage chalo
mausam-e-parwaz-o-par hai dosto
kar-ha-e-zindagi hain mo'atabar
zindagi na mo'atabar hai dosto
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.