chahaton ka samar mil gaya
chāhatoñ kā samar mil gayā
tujh sā ahl-e-nazar mil gayā
tū mujhe raah meñ kyā milā
ik javāz-e-safar mil gayā
ik shu.ūr-e-mohabbat hameñ
tere zer-e-asar mil gayā
tere me'yār kā to nahīñ
haañ magar chārāgar mil gayā
merī takmīl hone lagī
vo sarāpā hunar mil gayā
tum sañbhālo ye dīvār-e-zar
ādmiyyat kā dar mil gayā
dil meñ jaagī thī us kī lagan
tā-ba hadd-e-nazar mil gayā
tū milā to thakan jaag uThī
yuuñ lagā jaise ghar mil gayā
chahaton ka samar mil gaya
tujh sa ahl-e-nazar mil gaya
tu mujhe rah mein kya mila
ek jawaz-e-safar mil gaya
ek shuur-e-mohabbat hamein
tere zer-e-asar mil gaya
tere me'yar ka to nahin
han magar chaaragar mil gaya
meri takmil hone lagi
wo sarapa hunar mil gaya
tum sanbhaalo ye diwar-e-zar
aadmiyyat ka dar mil gaya
dil mein jagi thi us ki lagan
ta-ba hadd-e-nazar mil gaya
tu mila to thakan jag uThi
yun laga jaise ghar mil gaya
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.