chahaton ke zawal par chup hun
chāhatoñ ke zavāl par chup huuñ
dil ke har ik malāl par chup huuñ
de ga.e dhoka jo mohabbat meñ
maiñ to un ke kamāl par chup huuñ
de sake naañ javāb tum jis kā
aaj bhī us savāl par chup huuñ
tum ko chāhat kī chaah māregī
haa.e tote kī faal par chup huuñ
kyā kahūñ tujh se ai mire hamdam
maiñ to apnoñ kī chaal par chup huuñ
jab qalam kī ravāniyāñ dekhīñ
us ke lafzoñ ke jaal par chup huuñ
aks us kā mujhe dikhātā hai
aa.ine ke ḳhayāl par chup huuñ
ābgīna hai TuuT jā.egā
dil kī aisī misāl par chup huuñ
jab corona kī hai vabā phailī
dard ke aise saal par chup huuñ
man kā panchhī ye 'shāz' kahtā hai
maiñ mohabbat kī Daal par chup huuñ
chahaton ke zawal par chup hun
dil ke har ek malal par chup hun
de gae dhoka jo mohabbat mein
main to un ke kamal par chup hun
de sake nan jawab tum jis ka
aaj bhi us sawal par chup hun
tum ko chahat ki chah maregi
hae tote ki fal par chup hun
kya kahun tujh se ai mere hamdam
main to apnon ki chaal par chup hun
jab qalam ki rawaniyan dekhin
us ke lafzon ke jal par chup hun
aks us ka mujhe dikhata hai
aaine ke KHayal par chup hun
aabgina hai TuT jaega
dil ki aisi misal par chup hun
jab corona ki hai waba phaili
dard ke aise sal par chup hun
man ka panchhi ye 'shaz' kahta hai
main mohabbat ki Dal par chup hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.