chahaton ko nit-nae andaz se dekha karo
chāhatoñ ko nit-na.e andāz se dekhā karo
vasl kī rāhat meñ furqat kā samāñ likkhā karo
kyā pata un kī bhī lag jaa.e koī qīmat kahīñ
sañg-rezo ko bhī hīroñ kī tarah parkhā karo
zaat ke sahrā meñ kar pāoge kyā apnī talāsh
umr bhar pīchhe sarāb-e-zīst ke bhāgā karo
ik havā-e-tund kā jhoñkā uḌā le jā.egā
ret ke siine pe koī naam mat likkhā karo
tum bahut ghabrā ga.e ghar kī vīrānī se 'faiz'
ab hujūm-e-shahr meñ tanhā.iyāñ DhūñDā karo
chahaton ko nit-nae andaz se dekha karo
wasl ki rahat mein furqat ka saman likkha karo
kya pata un ki bhi lag jae koi qimat kahin
sang-rezo ko bhi hiron ki tarah parkha karo
zat ke sahra mein kar paoge kya apni talash
umr bhar pichhe sarab-e-zist ke bhaga karo
ek hawa-e-tund ka jhonka uDa le jaega
ret ke sine pe koi nam mat likkha karo
tum bahut ghabra gae ghar ki virani se 'faiz'
ab hujum-e-shahr mein tanhaiyan DhunDa karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.