chahe ghar mein rok de ya rahguzar mein rok de
chāhe ghar meñ rok de yā rahguzar meñ rok de
vo jise chāhe use aadhe safar meñ rok de
ye agar bāhar ga.iiñ to ḳhāmushī chhā jā.egī
merī āvāzeñ mire dīvār-o-dar meñ rok de
nāḳhudā us jal-parī ke paas pahuñchā de mujhe
yā to us kashtī ko le jā kar bhañvar meñ rok de
chand qadmoñ par badal jaate haiñ mere ham-safar
ai ḳhudā koī nazārā to nazar meñ rok de
us kī aamad se makān-e-dil bahut shādāb hai
aur kuchh din is na.e mehmāñ ko ghar meñ rok de
chahe ghar mein rok de ya rahguzar mein rok de
wo jise chahe use aadhe safar mein rok de
ye agar bahar gain to KHamushi chha jaegi
meri aawazen mere diwar-o-dar mein rok de
naKHuda us jal-pari ke pas pahuncha de mujhe
ya to us kashti ko le ja kar bhanwar mein rok de
chand qadmon par badal jate hain mere ham-safar
ai KHuda koi nazara to nazar mein rok de
us ki aamad se makan-e-dil bahut shadab hai
aur kuchh din is nae mehman ko ghar mein rok de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.