chahe jannat na mile chahe KHudai na mile
chāhe jannat na mile chāhe ḳhudā.ī na mile
hai duā merī yahī tujh se judā.ī na mile
kaun sī raah chunī tum ne mohabbat ke liye
chal ke aa jaao magar ābla-pā.ī na mile
saath terā ho agar maut bhī aa.e hamdam
ziist jo mujh ko mile tujh se parā.ī na mile
ajnabī apne hī ban jaate haiñ jin se yaaro
naam ko mere kabhī aisī burā.ī na mile
jo badal Daale mirī baat kā matlab hī 'sahar'
mere ash.ār meñ aisī bhī safā.ī na mile
chahe jannat na mile chahe KHudai na mile
hai dua meri yahi tujh se judai na mile
kaun si rah chuni tum ne mohabbat ke liye
chal ke aa jao magar aabla-pai na mile
sath tera ho agar maut bhi aae hamdam
zist jo mujh ko mile tujh se parai na mile
ajnabi apne hi ban jate hain jin se yaro
nam ko mere kabhi aisi burai na mile
jo badal Dale meri baat ka matlab hi 'sahar'
mere ashaar mein aisi bhi safai na mile
- Book : Ahad-e-rafta (Pg. 86)
- Author : Ramzan Ali Sahar
- Publication : Ramzan Ali Sahar (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.