chahe jitna sath nibha lo phir bhi bichhaDna paDta hai
chāhe jitnā saath nibhā lo phir bhī bichhaḌnā paḌtā hai
zahr-e-judā.ī ro kar yā phir hañs kar piinā paḌtā hai
dushman par ye jaan nichhāvar karnī bhī paḌ saktī hai
ba.az auqāt to apnī jaañ kā dushman honā paḌtā hai
jaane vaale kab rukte haiñ ruk bhī jaa.eñ to kab tak
jo jo duniyā meñ aatā hai us ko jaanā paḌtā hai
do-dhārī talvār hai duniyā tez haiñ us ke donoñ ruḳh
ashk chhupā kar ronā mushkil lekin ronā paḌtā hai
kitne rog mohabbat vaale logoñ ko khā jaate haiñ
dukh jīvan kā sāthī hai jo sab ko sahnā paḌtā hai
ek mohabbat kā jazba jo lafzoñ kā muhtāj nahīñ
lekin phir bhī kabhī kabhī ye lafz bhī kahnā paḌtā hai
chahe jitna sath nibha lo phir bhi bichhaDna paDta hai
zahr-e-judai ro kar ya phir hans kar pina paDta hai
dushman par ye jaan nichhawar karni bhi paD sakti hai
baz auqat to apni jaan ka dushman hona paDta hai
jaane wale kab rukte hain ruk bhi jaen to kab tak
jo jo duniya mein aata hai us ko jaana paDta hai
do-dhaari talwar hai duniya tez hain us ke donon ruKH
ashk chhupa kar rona mushkil lekin rona paDta hai
kitne rog mohabbat wale logon ko kha jate hain
dukh jiwan ka sathi hai jo sab ko sahna paDta hai
ek mohabbat ka jazba jo lafzon ka muhtaj nahin
lekin phir bhi kabhi kabhi ye lafz bhi kahna paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.