chahe jo haal bhi ho unki nazar hone tak
chāhe jo haal bhī ho un kī nazar hone tak
ham jiye jā.eñge aahoñ meñ asar hone tak
be-ḳhudī naam hai ehsās-e-ḳhudī kā shāyad
varna kuchh aur thā mansūr ḳhabar hone tak
sabr se kaam le ai dil is añdhere se na Dar
zulmat-e-shab hai sapedī-e-sahar hone tak
jab jo chāheñ vo kaheñ apne ko vaa.iz lekin
bartarī mujh ko to hāsil hai bashar hone tak
haa.e vo husn-e-yaqīñ aah vo ummīd-e-karam
muntazir thā tirā bīmār sahar hone tak
yuuñ to jiinā hai ba-har-hāl magar ai 'āsī'
zindagī asl meñ hai soz-e-jigar hone tak
chahe jo haal bhi ho un ki nazar hone tak
hum jiye jaenge aahon mein asar hone tak
be-KHudi nam hai ehsas-e-KHudi ka shayad
warna kuchh aur tha mansur KHabar hone tak
sabr se kaam le ai dil is andhere se na Dar
zulmat-e-shab hai sapedi-e-sahar hone tak
jab jo chahen wo kahen apne ko waiz lekin
bartari mujh ko to hasil hai bashar hone tak
hae wo husn-e-yaqin aah wo ummid-e-karam
muntazir tha tera bimar sahar hone tak
yun to jina hai ba-har-haal magar ai 'asi'
zindagi asl mein hai soz-e-jigar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.