chahe kuchh ho zer-e-ehsan apni nadari na rakh
chahe kuchh ho zer-e-ehsan apni nadari na rakh
Hamid Mukhtar Hamid
MORE BYHamid Mukhtar Hamid
chāhe kuchh ho zer-e-ehsāñ apnī nādārī na rakh
pattharoñ se bhar ke ye shīshe kī almārī na rakh
jang tū jiite ki haare ye alag ik baat hai
zehn-o-dil par ḳhauf dushman kā magar taarī na rakh
aaḌī tirchhī kuchh lakīreñ hī mileñgī shaam tak
shahr ke chaurāhe par tū apnī fankārī na rakh
ye buzurgoñ kī ravā-dārī ke pazhmurda gulāb
ābiyārī chāhte haiñ in meñ chingārī na rakh
hai tire insāf kā terī tarāzū se vaqār
baaT halke hoñ to aage chiiz bhī bhārī na rakh
zindagī ke aa.ine kī aab hai 'hāmid' ḳhudī
apnī sāñsoñ se judā ehsās-e-ḳhud-dārī na rakh
chahe kuchh ho zer-e-ehsan apni nadari na rakh
pattharon se bhar ke ye shishe ki almari na rakh
jang tu jite ki haare ye alag ek baat hai
zehn-o-dil par KHauf dushman ka magar tari na rakh
aaDi tirchhi kuchh lakiren hi milengi sham tak
shahr ke chaurahe par tu apni fankari na rakh
ye buzurgon ki rawa-dari ke pazhmurda gulab
aabiyari chahte hain in mein chingari na rakh
hai tere insaf ka teri taraazu se waqar
baT halke hon to aage chiz bhi bhaari na rakh
zindagi ke aaine ki aab hai 'hamid' KHudi
apni sanson se juda ehsas-e-KHud-dari na rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.