Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chahe mano bura hum nahin mante

Darshan Dayal Parwaz

chahe mano bura hum nahin mante

Darshan Dayal Parwaz

MORE BYDarshan Dayal Parwaz

    chāhe maano burā ham nahīñ mānte

    pattharoñ ko ḳhudā ham nahīñ mānte

    jis ke hone na hone tasdīq ho

    us ḳhudā ko ḳhudā ham nahīñ mānte

    mānte haiñ use jo dikhā.ī na de

    aur koī ḳhudā ham nahīñ mānte

    chāhe kitnā mushkil ho jiinā use

    zindagī ko sazā ham nahīñ mānte

    apne a.amāl bhī hai kuchh to ḳhatā

    sab hai rab razā ham nahīñ mānte

    ham ko ḳhud bhī nahīñ kuchh patā dosto

    mānte bhī haiñ ham nahīñ mānte

    mānte haiñ burī ādatoñ burā

    ġhalatiyoñ burā ham nahīñ mānte

    ham samajhte haiñ sar par chaḌhānā burā

    pyaar to burā ham nahīñ mānte

    mai ke piine se kitnī bhī rāhat mile

    mai piinā bajā ham nahīñ mānte

    dosh de sakte haiñ apnī taqdīr ko

    yaar ko bevafā ham nahīñ mānte

    maan sakte haiñ ham us ko ik ḳhauf

    kuchh hai rab se baḌā ham nahīñ mānte

    kyoñ yahī kuchh 'parvāz' aksar kaho

    maiñ nahīñ māntā ham nahīñ mānte

    chahe mano bura hum nahin mante

    pattharon ko KHuda hum nahin mante

    jis ke hone na hone ki tasdiq ho

    us KHuda ko KHuda hum nahin mante

    mante hain use jo dikhai na de

    aur koi KHuda hum nahin mante

    chahe kitna hi mushkil ho jina use

    zindagi ko saza hum nahin mante

    apne aamal ki bhi hai kuchh to KHata

    sab hai rab ki raza hum nahin mante

    hum ko KHud bhi nahin kuchh pata dosto

    mante bhi hain ya hum nahin mante

    mante hain buri aadaton ka bura

    ghalatiyon ka bura hum nahin mante

    hum samajhte hain sar par chaDhana bura

    pyar ka to bura hum nahin mante

    mai ke pine se kitni bhi rahat mile

    mai ka pina baja hum nahin mante

    dosh de sakte hain apni taqdir ko

    yar ko bewafa hum nahin mante

    man sakte hain hum us ko ek KHauf hi

    kuchh hai rab se baDa hum nahin mante

    kyon yahi kuchh hi 'parwaz' aksar kaho

    main nahin manta hum nahin mante

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now