chahe tu shauq se mujhe wahshat-e-dil shikar kar
chāhe tū shauq se mujhe vahshat-e-dil shikār kar
apnoñ se kaT chukā huuñ maiñ apnī anā ubhār kar
jin ko kahā na jā sakā jin ko sunā nahīñ gayā
vo bhī haiñ kuchh hikāyateñ un ko bhī tū shumār kar
ḳhud ko aziyyateñ na de mujh ko aziyyateñ na de
ḳhud pe bhī iḳhtiyār rakh mujh pe bhī e'tibār kar
us ke yaqīn-e-husn kā husn-e-yaqīñ to dekhiye
ā.īna dekhtā hai vo apnī nazar utaar kar
rāheñ rafīq-e-rāh ke shauq kā imtihān haiñ
jis meñ safar tavīl ho rasta vo iḳhtiyār kar
terī zamīñ nasīb ne tere hunar ko sauñp dī
ḳhvāh chaman banā use ḳhvāh tū regzār kar
'anjum' abhī haiñ raah meñ shab kī kaḌī masāfateñ
mahr falak pe rah gayā din kā safar guzār kar
chahe tu shauq se mujhe wahshat-e-dil shikar kar
apnon se kaT chuka hun main apni ana ubhaar kar
jin ko kaha na ja saka jin ko suna nahin gaya
wo bhi hain kuchh hikayaten un ko bhi tu shumar kar
KHud ko aziyyaten na de mujh ko aziyyaten na de
KHud pe bhi iKHtiyar rakh mujh pe bhi e'tibar kar
us ke yaqin-e-husn ka husn-e-yaqin to dekhiye
aaina dekhta hai wo apni nazar utar kar
rahen rafiq-e-rah ke shauq ka imtihan hain
jis mein safar tawil ho rasta wo iKHtiyar kar
teri zamin nasib ne tere hunar ko saunp di
KHwah chaman bana use KHwah tu regzar kar
'anjum' abhi hain rah mein shab ki kaDi masafaten
mahr falak pe rah gaya din ka safar guzar kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.