chahe wahm-o-guman mein rakhna
chāhe vahm-o-gumān meñ rakhnā
mujh ko tū apne dhyān meñ rakhnā
naaz kartā ho āsmāñ jis par
shaan aisī uḌaan meñ rakhnā
ḳhvāb āñkhoñ meñ pālnā lekin
jaan apnī lagān meñ rakhnā
tujh se kis ne kahā thā shīshagar
koī patthar dukān meñ rakhnā
ham to badleñge ruḳh havāoñ kā
aap ḳhud ko Dhalān meñ rakhnā
niim kā peḌ dil meñ ho lekin
shahd apnī zabān meñ rakhnā
chahe wahm-o-guman mein rakhna
mujh ko tu apne dhyan mein rakhna
naz karta ho aasman jis par
shan aisi uDan mein rakhna
KHwab aankhon mein palna lekin
jaan apni lagan mein rakhna
tujh se kis ne kaha tha shishagar
koi patthar dukan mein rakhna
hum to badlenge ruKH hawaon ka
aap KHud ko Dhalan mein rakhna
nim ka peD dil mein ho lekin
shahd apni zaban mein rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.