chahiye parhez-e-gardish chashm-e-shoKH-e-yar ko
chāhiye parhez-e-gardish chashm-e-shoḳh-e-yār ko
ghūmne se jab ziyāñ hai mardum-e-bīmār ko
huuñ marīz-e-ishq hai ye dard merā lā-davā
hogī sehhat kyā masīhā se tire bīmār ko
nāvak-e-be-par agar hai us kī mizhgān-e-darāz
qaus kyoñ samjhe na āshiq abrū-e-ḳhamdār ko
merī hī nafrat ne kī ulfat raqīboñ se sivā
vasl kī daulat mayassar kyoñ na ho aġhyār ko
shām-e-ġhurbat hijr meñ to vasl meñ sub.h-e-vatan
dekhtā huuñ apne ghar meñ sāya-e-dīvār ko
kyā qayāmat hai darāzī-e-shab-e-yaldā-e-hijr
roz-e-mahshar par jo rakkhā vāda-e-dīdār ko
ek dirham kī ise ḳhvāhish to lākhoñ kī use
shukr muflis se ziyāda hai kahīñ zardār ko
naqd-e-jāñ de kar zuleḳhā ne liyā saudā-e-ishq
husn-e-yūsuf kī jo dekhā garmī-e-bāzār ko
ibn-e-ādam se bhī chhīnī ishq hī ne saltanat
kar diyā muhtāj isī ne mālik-e-dīnār ko
is zamāne meñ baḌī hotī hai zardāroñ kī qadr
pūchhtā hai kaun 'ājiz' muflis-e-nādār ko
chahiye parhez-e-gardish chashm-e-shoKH-e-yar ko
ghumne se jab ziyan hai mardum-e-bimar ko
hun mariz-e-ishq hai ye dard mera la-dawa
hogi sehhat kya masiha se tere bimar ko
nawak-e-be-par agar hai us ki mizhgan-e-daraaz
qaus kyon samjhe na aashiq abru-e-KHamdar ko
meri hi nafrat ne ki ulfat raqibon se siwa
wasl ki daulat mayassar kyon na ho aghyar ko
sham-e-ghurbat hijr mein to wasl mein subh-e-watan
dekhta hun apne ghar mein saya-e-diwar ko
kya qayamat hai daraazi-e-shab-e-yalda-e-hijr
roz-e-mahshar par jo rakkha wada-e-didar ko
ek dirham ki ise KHwahish to lakhon ki use
shukr muflis se ziyaada hai kahin zardar ko
naqd-e-jaan de kar zuleKHa ne liya sauda-e-ishq
husn-e-yusuf ki jo dekha garmi-e-bazar ko
ibn-e-adam se bhi chhini ishq hi ne saltanat
kar diya muhtaj isi ne malik-e-dinar ko
is zamane mein baDi hoti hai zardaron ki qadr
puchhta hai kaun 'ajiz' muflis-e-nadar ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.