chahna ye hai jo hum dil-zadagan chahte hain
chāhnā ye hai jo ham dil-zadagāñ chāhte haiñ
naf.a matlūb hai aisā ki ziyāñ chāhte haiñ
lutf-e-yak-jur.a se aise meñ banegā kyā kaam
daur-e-avval meñ to ham ratl-s-girāñ chāhte haiñ
chāhte haiñ jo vo hotā nahīñ ham se be-uzr
aur be-uzr jo hotā hai kahāñ chāhte haiñ
kāvish-e-aql se khulte nahīñ dil ke uqde
ye to vo gul haiñ jo khilte haiñ jahāñ chāhte haiñ
sub.h-e-kāzib haiñ siyah-dil ye sabīhān-e-savād
ham hī saada haiñ ki us vaqt azaañ chāhte haiñ
chahna ye hai jo hum dil-zadagan chahte hain
nafa matlub hai aisa ki ziyan chahte hain
lutf-e-yak-jura se aise mein banega kya kaam
daur-e-awwal mein to hum ratl-s-giran chahte hain
chahte hain jo wo hota nahin hum se be-uzr
aur be-uzr jo hota hai kahan chahte hain
kawish-e-aql se khulte nahin dil ke uqde
ye to wo gul hain jo khilte hain jahan chahte hain
subh-e-kazib hain siyah-dil ye sabihan-e-sawad
hum hi sada hain ki us waqt azan chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.