chahta hai koi agar uDna
chāhtā hai koī agar uḌnā
to zarūrī hai us kā Dar uḌnā
bhiiḌ bhārī hai saarī saḌkoñ par
siikh leñ shahr meñ bashar uḌnā
ye to 'ādat nahīñ parindoñ kī
din meñ ārām rāt-bhar uḌnā
merī khiḌkī se tum nazar aao
jab bhī uḌnā ye soch kar uḌnā
āb-o-dāne kī fikr kar pyāre
chhoḌ de ye idhar udhar uḌnā
chahta hai koi agar uDna
to zaruri hai us ka Dar uDna
bhiD bhaari hai sari saDkon par
sikh len shahr mein bashar uDna
ye to 'adat nahin parindon ki
din mein aaram raat-bhar uDna
meri khiDki se tum nazar aao
jab bhi uDna ye soch kar uDna
aab-o-dane ki fikr kar pyare
chhoD de ye idhar udhar uDna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.