chahta hun tujhe nabi ki qasam
chāhtā huuñ tujhe nabī kī qasam
hazrat-e-murtazā-alī kī qasam
mujhe ġhamgīñ na chhoḌ rotā aaj
tujhe apnī hañsī-ḳhushī kī qasam
saaf kah baiThiye na jī meñ jo ho
aap ko apnī sādgī kī qasam
maiñ dilā.ī qasam to kahne lage
ham nahīñ mānte kisī kī qasam
sadqa hotā huuñ jis ghaḌī mujh ko
yaad aatī hai us parī kī qasam
haa.e kahnā vo us kā chupke se
tujhe 'inshā' hamārī jī kī qasam
chahta hun tujhe nabi ki qasam
hazrat-e-murtaza-ali ki qasam
mujhe ghamgin na chhoD rota aaj
tujhe apni hansi-KHushi ki qasam
saf kah baiThiye na ji mein jo ho
aap ko apni sadgi ki qasam
main dilai qasam to kahne lage
hum nahin mante kisi ki qasam
sadqa hota hun jis ghaDi mujh ko
yaad aati hai us pari ki qasam
hae kahna wo us ka chupke se
tujhe 'insha' hamari ji ki qasam
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.