chahta jaisa hun waisa nahin hone deta
chāhtā jaisā huuñ vaisā nahīñ hone detā
aa.ina mujh ko akelā nahīñ hone detā
ek rishta hai bahut din se ta.āqub meñ mire
merā saaya mujhe tanhā nahīñ hone detā
parda-e-shab se nikalne kā nahīñ letā naam
aaj sūraj hī saverā nahīñ hone detā
isī ik buuñd meñ ḳhud Duub na jaa.e vo kahīñ
ek qatre ko jo dariyā nahīñ hone detā
ye ravayya hai bahar-hāl mohabbat kī dalīl
zaḳhm detā hai to gahrā nahīñ hone detā
bāl-o-par mujh ko mayassar to kiye haiñ us ne
is tabī.at ko parinda nahīñ hone detā
roz miltā hai 'qamar' TuuT ke mujh se lekin
apne andar koī dar vā nahīñ hone detā
chahta jaisa hun waisa nahin hone deta
aaina mujh ko akela nahin hone deta
ek rishta hai bahut din se taaqub mein mere
mera saya mujhe tanha nahin hone deta
parda-e-shab se nikalne ka nahin leta nam
aaj suraj hi sawera nahin hone deta
isi ek bund mein KHud Dub na jae wo kahin
ek qatre ko jo dariya nahin hone deta
ye rawayya hai bahar-haal mohabbat ki dalil
zaKHm deta hai to gahra nahin hone deta
baal-o-par mujh ko mayassar to kiye hain us ne
is tabiat ko parinda nahin hone deta
roz milta hai 'qamar' TuT ke mujh se lekin
apne andar koi dar wa nahin hone deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.