chahte ho jo koi khanDar dekhna
chāhte ho jo koī khañDar dekhnā
dosto ik nazar merā ghar dekhnā
lab hilā.e haiñ maiñ ne ḳhilāf-e-sitam
ab balā aa.egī mere sar dekhnā
pahle ghar ke charāġhoñ pe rakkho nazar
baad meñ tum ye shams-o-qamar dekhnā
aisā lagtā hai mere muqaddar meñ hai
dāman-e-zindagī ḳhuuñ se tar dekhnā
de rahe ho havā yaad rakhnā magar
sho.ala ban jā.egā ye sharar dekhnā
ham ne sab sah liye tere zulm-o-sitam
ab duā kā hamārī asar dekhnā
ḳhair se aap ne ḳhair dekhā hai ḳhair
rahnumā se kabhī us kā shar dekhnā
terī chashm-e-ināyat kā tālib huuñ maiñ
ik nigāh-e-ġhalat hī magar dekhnā
kaash 'darvesh' ho merī taqdīr meñ
manzar-e-ḳhushnumā umr bhar dekhnā
chahte ho jo koi khanDar dekhna
dosto ek nazar mera ghar dekhna
lab hilae hain main ne KHilaf-e-sitam
ab bala aaegi mere sar dekhna
pahle ghar ke charaghon pe rakkho nazar
baad mein tum ye shams-o-qamar dekhna
aisa lagta hai mere muqaddar mein hai
daman-e-zindagi KHun se tar dekhna
de rahe ho hawa yaad rakhna magar
shoala ban jaega ye sharar dekhna
hum ne sab sah liye tere zulm-o-sitam
ab dua ka hamari asar dekhna
KHair se aap ne KHair dekha hai KHair
rahnuma se kabhi us ka shar dekhna
teri chashm-e-inayat ka talib hun main
ek nigah-e-ghalat hi magar dekhna
kash 'darwesh' ho meri taqdir mein
manzar-e-KHushnuma umr bhar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.