chahti hun ki main roun to manazir ro den
chāhtī huuñ ki maiñ ro.uuñ to manāzir ro deñ
is lahū-rang ko ik baar hī mal kar dho deñ
hashr barpā kare dushman ko milī hai mohlat
aur ham par hai sitam itnā ki manzil kho deñ
un ko taqdīr pe hai naaz yaqīñ rakhte haiñ
ki vahāñ phuul khileñge jahāñ kāñTe bo deñ
har koī dhartī pe āqā.ī liye baiThā hai
bandagī ek kī hai aur ye haq kis ko deñ
chahti hun ki main roun to manazir ro den
is lahu-rang ko ek bar hi mal kar dho den
hashr barpa kare dushman ko mili hai mohlat
aur hum par hai sitam itna ki manzil kho den
un ko taqdir pe hai naz yaqin rakhte hain
ki wahan phul khilenge jahan kanTe bo den
har koi dharti pe aaqai liye baiTha hai
bandagi ek ki hai aur ye haq kis ko den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.