chahun to abhi hijr ke haalat bata dun
chahun to abhi hijr ke haalat bata dun
Syed Tamjeed Haider Tamjeed
MORE BYSyed Tamjeed Haider Tamjeed
chāhūñ to abhī hijr ke hālāt batā duuñ
phir kyā hai tire vasl kī auqāt batā duuñ
samjhe hai to bas mere zavāhir ke ishāre
maiñ apne pe aa.uuñ to tirī zaat batā duuñ
vo raaz jo kholegā zavāhir kī haqīqat
tū bole batā duuñ to maiñ vo baat batā duuñ
paḌh saktā huuñ maiñ jald kitāb-e-ruḳh-e-raushan
chāhūñ to mazāmīn-e-maqālāt batā duuñ
sajdoñ ko mire nashr-o-ishā.at kā nahīñ shauq
kyuuñ ġhair ko taḳhsīs-e-ibādāt batā duuñ
dushman ko to rakkhūñgā maiñ mastūr-e-zamāna
mumkin hai kabhī apne muhimmāt batā duuñ
maiñ bhī tire hisse kā safar kartā rahā huuñ
ab aur tujhe kaun sī sauġhāt batā duuñ
tajdīd-e-tafakkur kā tujhe vahm huā hai
maiñ tere ḳhayāloñ meñ tazādāt batā duuñ
phir jaan gayā tere latīfāna suḳhan ko
phir kyā hai tirā rāz-e-mudārāt batā duuñ
maḳhmūr hai mad.hosh hai duniyā mire aage
kuchh aur bhī haiñ is ke ḳhurāfāt batā duuñ
taqdīr hī kuchh apnī maTar-gasht kiye hai
'tamjīd' ye mumkin hai mahālāt batā duuñ
chahun to abhi hijr ke haalat bata dun
phir kya hai tere wasl ki auqat bata dun
samjhe hai to bas mere zawahir ke ishaare
main apne pe aaun to teri zat bata dun
wo raaz jo kholega zawahir ki haqiqat
tu bole bata dun to main wo baat bata dun
paDh sakta hun main jald kitab-e-ruKH-e-raushan
chahun to mazamin-e-maqalat bata dun
sajdon ko mere nashr-o-ishaat ka nahin shauq
kyun ghair ko taKHsis-e-ibaadat bata dun
dushman ko to rakkhunga main mastur-e-zamana
mumkin hai kabhi apne muhimmat bata dun
main bhi tere hisse ka safar karta raha hun
ab aur tujhe kaun si saughat bata dun
tajdid-e-tafakkur ka tujhe wahm hua hai
main tere KHayalon mein tazadat bata dun
phir jaan gaya tere latifana suKHan ko
phir kya hai tera raaz-e-mudaraat bata dun
maKHmur hai madhosh hai duniya mere aage
kuchh aur bhi hain is ke KHurafat bata dun
taqdir hi kuchh apni maTar-gasht kiye hai
'tamjid' ye mumkin hai mahaalat bata dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.