chaak chaak apna gareban na hua tha so hua
chaak chaak apna gareban na hua tha so hua
Wajid Ali Shah Akhtar
MORE BYWajid Ali Shah Akhtar
chaak chaak apnā garebāñ na huā thā so huā
vahshat-e-dil kā jo sāmāñ na huā thā so huā
yā ḳhudā dair meñ sāmāñ na huā thā so huā
kāfir-e-ishq musalmāñ na huā thā so huā
ruḳh-e-anvar se maiñ hairāñ na huā thā so huā
kabhī ai zulf pareshāñ na huā thā so huā
zulm-o-jaur ai shab-e-hijrāñ na huā thā so huā
ḳhāna-e-gor meñ mehmāñ na huā thā so huā
chashm-e-insāf se tūfāñ na huā thā so huā
dil-e-'aḳhtar' chamanistāñ na huā thā so huā
chaak chaak apna gareban na hua tha so hua
wahshat-e-dil ka jo saman na hua tha so hua
ya KHuda dair mein saman na hua tha so hua
kafir-e-ishq musalman na hua tha so hua
ruKH-e-anwar se main hairan na hua tha so hua
kabhi ai zulf pareshan na hua tha so hua
zulm-o-jaur ai shab-e-hijran na hua tha so hua
KHana-e-gor mein mehman na hua tha so hua
chashm-e-insaf se tufan na hua tha so hua
dil-e-'aKHtar' chamanistan na hua tha so hua
- Book : Roomani Ghazlen (Pg. 52)
- Author : Samina Hijab
- Publication : Maktaba Jamia Limited, New Delhi (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.