chaak-daman na hue chaak-gareban hue
chāk-dāman na hue chāk-garebān hue
ham tire baad bahar-hāl pareshān hue
bārhā kī hai talab dād-e-vafā ham ne bhī
dosto ham bhī ka.ī baar pashemān hue
jise dekho vo faqīroñ ko jhiḌak detā hai
ahl-e-duniyā na hue aap ke darbān hue
ham-nashīñ qaht-e-murāvat kī tabāhī mat pūchh
shahr ke shahr mire sāmne vīrān hue
maut likkhī hī nahīñ thī to kahāñ se martā
muft 'ishrat' mire ahbāb pareshān hue
chaak-daman na hue chaak-gareban hue
hum tere baad bahar-haal pareshan hue
barha ki hai talab dad-e-wafa hum ne bhi
dosto hum bhi kai bar pasheman hue
jise dekho wo faqiron ko jhiDak deta hai
ahl-e-duniya na hue aap ke darban hue
ham-nashin qaht-e-murawat ki tabahi mat puchh
shahr ke shahr mere samne viran hue
maut likkhi hi nahin thi to kahan se marta
muft 'ishrat' mere ahbab pareshan hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.