chaak dil chaak jigar yaad aaya
chaak dil chaak jigar yaad aaya
kis kā andāz-e-nazar yaad aaya
yād-e-ayyām-e-bahārāñ tauba
phir ma’āl-e-gul-e-tar yaad aaya
kis kī duzdīda nazar ne chheḌā
kaun ai dīda-e-tar yaad aaya
us ke andāz-e-taġhāful ko hanūz
bhūlnā chāhā magar yaad aaya
phir zamāne ne nigāheñ pherīñ
phir tirā aur tirā ghar yaad aaya
vahshat-e-dil kā ye aalam 'zamzam'
sang hī aaya na sar yaad aaya
chaak dil chaak jigar yaad aaya
kis ka andaz-e-nazar yaad aaya
yaad-e-ayyam-e-bahaaran tauba
phir ma’al-e-gul-e-tar yaad aaya
kis ki duzdida nazar ne chheDa
kaun ai dida-e-tar yaad aaya
us ke andaz-e-taghaful ko hanuz
bhulna chaha magar yaad aaya
phir zamane ne nigahen pherin
phir tera aur tera ghar yaad aaya
wahshat-e-dil ka ye aalam 'zamzam'
sang hi aaya na sar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.