chaak-e-daman-o-gireban pe hansi aati hai
chāk-e-dāmāñ-o-girebāñ pe hañsī aatī hai
kaise insāñ ho ki insāñ pe hañsī aatī hai
tum ki har manzil-e-dushvār se haT jaate ho
ham ki har manzil-e-āsāñ pe hañsī aatī hai
ye banā.e hue rañg aur ye tarāshe hue phuul
mujh ko is jashn-e-bahārāñ pe hañsī aatī hai
raat ik zulf-e-pareshāñ ke liye rotā huuñ
sub.h har ḳhvāb-e-pareshāñ pe hañsī aatī hai
ham ko ik khel haiñ ye tauq-o-salāsil sayyād
ham ko zindāñ meñ bhī zindāñ pe hañsī aatī hai
chaak-e-daman-o-gireban pe hansi aati hai
kaise insan ho ki insan pe hansi aati hai
tum ki har manzil-e-dushwar se haT jate ho
hum ki har manzil-e-asan pe hansi aati hai
ye banae hue rang aur ye tarashe hue phul
mujh ko is jashn-e-bahaaran pe hansi aati hai
raat ek zulf-e-pareshan ke liye rota hun
subh har KHwab-e-pareshan pe hansi aati hai
hum ko ek khel hain ye tauq-o-salasil sayyaad
hum ko zindan mein bhi zindan pe hansi aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.