chaak-e-daman se gareban aur kitni dur hai
chāk-e-dāman se garebāñ aur kitnī duur hai
ai mirī vahshat bayābāñ aur kitnī duur hai
ai shab-e-ġham gardish-e-ayyām kī tujh ko qasam
kuchh batā sub.h-e-bahārāñ aur kitnī duur hai
aa gayā huuñ sarhad-e-imkān tak le kar lahū
jaane ab sehn-e-gulistāñ aur kitnī duur hai
āzmā.ish se guzartā jā rahā huuñ josh meñ
kyā pata dariyā-e-imkāñ aur kitnī duur hai
bosa-e-zanjīr merī āḳhirī manzil hai ab
dekhtā huuñ mujh se zindāñ aur kitnī duur hai
maiñ mashaqqat kar rahā huuñ ab zamīn-e-dil pe bhī
vo tirā aks-e-farozāñ aur kitnī duur hai
ruuh kī tathīr kar ke dekhte jaanā 'tarāz'
matla-e-anvār-e-irfāñ aur kitnī duur hai
chaak-e-daman se gareban aur kitni dur hai
ai meri wahshat bayaban aur kitni dur hai
ai shab-e-gham gardish-e-ayyam ki tujh ko qasam
kuchh bata subh-e-bahaaran aur kitni dur hai
aa gaya hun sarhad-e-imkan tak le kar lahu
jaane ab sehn-e-gulistan aur kitni dur hai
aazmaish se guzarta ja raha hun josh mein
kya pata dariya-e-imkan aur kitni dur hai
bosa-e-zanjir meri aaKHiri manzil hai ab
dekhta hun mujh se zindan aur kitni dur hai
main mashaqqat kar raha hun ab zamin-e-dil pe bhi
wo tera aks-e-farozan aur kitni dur hai
ruh ki tathir kar ke dekhte jaana 'taraaz'
matla-e-anwar-e-irfan aur kitni dur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.