chaak-e-jigar-o-dil ka jab shikwa baja hota
chaak-e-jigar-o-dil ka jab shikwa baja hota
Qurban Ali Salik Beg
MORE BYQurban Ali Salik Beg
chāk-e-jigar-o-dil kā jab shikva bajā hotā
yūsuf kā zuleḳhā ne dāman to siyā hotā
sahtā huuñ sitam us ke ehsān hai duniyā par
gar maiñ na vafā kartā kyā jāniye kyā hotā
tum aur adū donoñ ik jaan do qālib ho
maiñ tum se agar miltā vo kyuuñ ki judā hotā
mahrūmī-e-tāle.a se hogā na ye din varna
maiñ tum ko dikhā detā gar roz-e-jazā hotā
yaañ tark-e-vafā mushkil tum kyuuñ ki sitam chhoḌo
jo kuchh na huā mujh se vo aap se kyā hotā
ai kaash tum aa jaate aġhyār hī ko le kar
kuchh umr to ghaT jaatī go rañj sivā hotā
karte haiñ vo chaar āñkheñ yuuñ mil ke qayāmat meñ
goyā ki hai fardā kā ab va.ada vafā hotā
dhoke meñ na rahnā thā yakbār na kahnā thā
kuchh lab pe gilā laate kuchh dil meñ rakhā hotā
hotī hai shab-e-va.ada jab yaas to maiñ dil se
nā-chār ye kahtā huuñ vo aate to kyā hotā
mai-ḳhāne se mai 'sālik' piite hue ghar jaanā
bāzār hai ye hazrat kuchh paas kiyā hotā
chaak-e-jigar-o-dil ka jab shikwa baja hota
yusuf ka zuleKHa ne daman to siya hota
sahta hun sitam us ke ehsan hai duniya par
gar main na wafa karta kya jaaniye kya hota
tum aur adu donon ek jaan do qalib ho
main tum se agar milta wo kyun ki juda hota
mahrumi-e-talea se hoga na ye din warna
main tum ko dikha deta gar roz-e-jaza hota
yan tark-e-wafa mushkil tum kyun ki sitam chhoDo
jo kuchh na hua mujh se wo aap se kya hota
ai kash tum aa jate aghyar hi ko le kar
kuchh umr to ghaT jati go ranj siwa hota
karte hain wo chaar aankhen yun mil ke qayamat mein
goya ki hai farda ka ab wada wafa hota
dhoke mein na rahna tha yakbar na kahna tha
kuchh lab pe gila late kuchh dil mein rakha hota
hoti hai shab-e-wada jab yas to main dil se
na-chaar ye kahta hun wo aate to kya hota
mai-KHane se mai 'salik' pite hue ghar jaana
bazar hai ye hazrat kuchh pas kiya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.