chaak ho parda-e-wahshat mujhe manzur nahin
chaak ho parda-e-vahshat mujhe manzūr nahīñ
varna ye haath garebān se kuchh duur nahīñ
sajde karne se miTā ḳhatt-e-jabīñ ai zāhid
ham kahe dete haiñ qismat meñ tirī huur nahīñ
mohtasib māne'-e-'illat hai gumān-e-mai se
sūñghne ko bhī mayassar mujhe angūr nahīñ
lab tak aa.ī thī shikāyat ki mohabbat ne kahā
dekh pachhtā.egā ḳhāmosh ye dastūr nahīñ
raat din nāma-o-paiġhām kahāñ tak hoñge
saaf kah dījiye milnā hameñ manzūr nahīñ
tum ne dī kohkan-o-qais se mujh ko nisbat
koī dīvāna nahīñ maiñ koī mazdūr nahīñ
kyā kare 'dāġh' koī us kī mohabbat kā ilaaj
vo kaleja hī nahīñ jis meñ ye nāsūr nahīñ
chaak ho parda-e-wahshat mujhe manzur nahin
warna ye hath gareban se kuchh dur nahin
sajde karne se miTa KHatt-e-jabin ai zahid
hum kahe dete hain qismat mein teri hur nahin
mohtasib mane'-e-'illat hai guman-e-mai se
sunghne ko bhi mayassar mujhe angur nahin
lab tak aai thi shikayat ki mohabbat ne kaha
dekh pachhtaega KHamosh ye dastur nahin
raat din nama-o-paigham kahan tak honge
saf kah dijiye milna hamein manzur nahin
tum ne di kohkan-o-qais se mujh ko nisbat
koi diwana nahin main koi mazdur nahin
kya kare 'dagh' koi us ki mohabbat ka ilaj
wo kaleja hi nahin jis mein ye nasur nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.