chaak par ek sar paDa hua hai
chaak par ek sar paḌā huā hai
ya.anī bār-e-hunar paḌā huā hai
DhūñDhtā phir rahā huuñ galiyoñ meñ
aur badan apne ghar paḌā huā hai
aks ā.īne meñ nahīñ miltā
parda to aañkh par paḌā huā hai
zaḳhm doge to ḳharch hogā naañ
hausla dasht-bhar paḌā huā hai
sar uThāne ke baa'd ilm huā
ishq dahlīz par paḌā huā hai
chaak par ek sar paDa hua hai
yani bar-e-hunar paDa hua hai
DhunDhta phir raha hun galiyon mein
aur badan apne ghar paDa hua hai
aks aaine mein nahin milta
parda to aankh par paDa hua hai
zaKHm doge to KHarch hoga nan
hausla dasht-bhar paDa hua hai
sar uThane ke ba'd ilm hua
ishq dahliz par paDa hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.