chaak par girya-kunan aise meri KHak hui
chaak par girya-kunāñ aise mirī ḳhaak huī
mātamī dast-e-hunar aañkh bhī namnāk huī
farsh par chaak ghumāyā gayā kis kī ḳhātir
ġhair-mā’mūlī sī aahaT sar-e-aflāk huī
kūza-gar dekh ki hairān hai taḳhlīq apnī
soch ke chaak se sūrat kahīñ chālāk huī
merī 'uryānī kā hal ḳhuub nikālā us ne
chaak kī ḳhaak hī āḳhir mirī poshāk huī
kūza-gar sharm se 'tasnīm' hai paanī paanī
is qadar ḳhaak mirī chaak pe bebāk huī
chaak par girya-kunan aise meri KHak hui
matami dast-e-hunar aankh bhi namnak hui
farsh par chaak ghumaya gaya kis ki KHatir
ghair-ma’muli si aahaT sar-e-aflak hui
kuza-gar dekh ki hairan hai taKHliq apni
soch ke chaak se surat kahin chaalak hui
meri 'uryani ka hal KHub nikala us ne
chaak ki KHak hi aaKHir meri poshak hui
kuza-gar sharm se 'tasnim' hai pani pani
is qadar KHak meri chaak pe bebak hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.