chaak par kuza-gar hai mahw-e-suKHan
chaak par kūza-gar hai mahv-e-suḳhan
gul khile jā rahe haiñ dasht-o-daman
ham darīda-badan darīda-badan
ik na.e zāviye pe naqsh-e-kuhan
sher-o-shā.ir hue haiñ shīr-o-shakar
kyā baham ho ga.e zamīn-o-zaman
ek haijān nisbatoñ meñ kahīñ
ek reg-e-ravāñ hai dasht-e-suḳhan
mujh se kyā pūchhtī hai sairābī
kaise rahte haiñ log tishna-dahan
talḳh tezābī tursh-tar lahja
un ke mābain ek shīrīñ-dahan
haa.e dīvār-e-girya haa.e haa.e
terī peshānī pe haiñ kitnī shikan
kyā vahāñ bhī bagūle uThte haiñ
aao dekh aa.eñ chal ke sū-e-adan
āsmāñ chup hai aur zamīñ ḳhāmosh
kuchh ḳhabar hai tumheñ bhī arz-e-vatan
chaak par kuza-gar hai mahw-e-suKHan
gul khile ja rahe hain dasht-o-daman
hum darida-badan darida-badan
ek nae zawiye pe naqsh-e-kuhan
sher-o-shair hue hain shir-o-shakar
kya baham ho gae zamin-o-zaman
ek haijaan nisbaton mein kahin
ek reg-e-rawan hai dasht-e-suKHan
mujh se kya puchhti hai sairabi
kaise rahte hain log tishna-dahan
talKH tezabi tursh-tar lahja
un ke mabain ek shirin-dahan
hae diwar-e-girya hae hae
teri peshani pe hain kitni shikan
kya wahan bhi bagule uThte hain
aao dekh aaen chal ke su-e-adan
aasman chup hai aur zamin KHamosh
kuchh KHabar hai tumhein bhi arz-e-watan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.