chaak pe rakkhe hain taswir bana di jae
chaak pe rakkhe haiñ tasvīr banā dī jaa.e
varna us jagah se ye miTTī haTā dī jaa.e
tum ne kyā soch ke rakkhā hai yahāñ kūza-garo
gar nahīñ Dhālnā to vaj.h batā dī jaa.e
rañg-o-ḳhushbū to azal se mirī kamzorī hai
sabz mausam se mirī duniyā sajā dī jaa.e
ho gayā kūcha-e-tohmat meñ to jiinā mushkil
jurm kī ab to sazā ham ko sunā dī jaa.e
ā.ina-ḳhāne meñ hairān se sab baiThe haiñ
in zamīñ-zādoñ kī hairat hī miTā dī jaa.e
faisla paar utarne kā kiyā hai 'shahnāz'
ab zarā āḳhirī kashtī bhī jalā dī jaa.e
chaak pe rakkhe hain taswir bana di jae
warna us jagah se ye miTTi haTa di jae
tum ne kya soch ke rakkha hai yahan kuza-garo
gar nahin Dhaalna to wajh bata di jae
rang-o-KHushbu to azal se meri kamzori hai
sabz mausam se meri duniya saja di jae
ho gaya kucha-e-tohmat mein to jina mushkil
jurm ki ab to saza hum ko suna di jae
aaina-KHane mein hairan se sab baiThe hain
in zamin-zadon ki hairat hi miTa di jae
faisla par utarne ka kiya hai 'shahnaz'
ab zara aaKHiri kashti bhi jala di jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.