chaak sine ka ba-andaz-e-jigar ho ki na ho
chaak siine kā ba-andāz-e-jigar ho ki na ho
aur phir lazzat-e-jāñ zauq-e-asar ho ki na ho
tujh se ai sham.a sar-e-shām hī ruḳhsat ho luuñ
shab basar ho ki na ho vaqt-e-sahar ho ki na ho
umr-e-nazzāra usī jalve pe qurbāñ kar duuñ
phir kabhī aur mujhe tāb-e-nazar ho ki na ho
ab jahāñ vo haiñ mirā hosh vahīñ hai ai dil
be-ḳhabar maiñ huuñ unheñ is kī ḳhabar ho ki na ho
apne mahshar kī sahar bhej hī de ab yārab
ya.anī tanhā hai mirī raat basar ho ki na ho
is qadar pūchh to lo rū-e-sahar se 'kaifī'
us pe rañg-e-asar-e-dīda-e-tar ho ki na ho
chaak sine ka ba-andaz-e-jigar ho ki na ho
aur phir lazzat-e-jaan zauq-e-asar ho ki na ho
tujh se ai shama sar-e-sham hi ruKHsat ho lun
shab basar ho ki na ho waqt-e-sahar ho ki na ho
umr-e-nazzara usi jalwe pe qurban kar dun
phir kabhi aur mujhe tab-e-nazar ho ki na ho
ab jahan wo hain mera hosh wahin hai ai dil
be-KHabar main hun unhen is ki KHabar ho ki na ho
apne mahshar ki sahar bhej hi de ab yarab
yani tanha hai meri raat basar ho ki na ho
is qadar puchh to lo ru-e-sahar se 'kaifi'
us pe rang-e-asar-e-dida-e-tar ho ki na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.